Zindagi thodee behtar hoti agar tum zindagi se jaate hi nahi,
Thodee jyada behtar hoti agar tum zindagi mein aate hi nahi
zindagi roz koi taaza safar mangati hai
aur thakaan shaam ko apana ghar mangati hai.
Kuch shikaayaten banee rahein to behatar hain
Chaashanee mein doobe rishte vafhaadar nahi hoote.
Hava chura le gai meri shayari ki kitaab,
Dekho aasma padh ke ro raha hai behisaab aaj.
Koi kahata hai murat me, koi kahata hai aasman me rahata hai,
Aur mujh jahil ko lagta tha, khuda har insaan me rahta hai.
Zaruri to nahi ki shayari sirf aashiq hi Karen,
Zindagi bhi kuch zakhm bemisaal de jati hai.
Mai to chahata hoon hamesha masoom bane rahna,
Ye jo duniya hai samajhdar kiye jati hai.
Samjh rahe hain magar bolane ka yaara nahi
Jo ham se mil ke bichhad jaaye wo hamara nahi.
Bhar jayenge jakhm mere bhi tum jamane se jikr mat karna,
Main theek hoon tum dubara kabhi meri fikr mat karna.
Kaun hai jisme kami nahi hoti,
Aasman ke paas bhi to jamin nahi hoti.
Kya fark padta hai asal me ham kaise hain,
Jisne jaisi soch bana li uske liye ham waise hain.
Hame pata hai tum kahin aur ke musaafir ho,
Zara thahar jao bas fir chale jana.
Meri tanhai dekhenge to hairat hi karenge log
Mohabbat chhod denge ya mohabbat hi karenge log.
Auron ka bataya hua rasta nahi chunte
Jo ishq chuna karte hain, duniya nahi chunte.
N ruthane ka dar n manane ki koshish
Dil se utare huye logon se shikaayaten kaisi.
Kisi ek ki chahat bano har kisi ki tamanna nahi,
Jo maza us ek ke ishq me hai wo nasha kisi aur me nahi.
Tu khaas hai mere liye, aam nahi
Gahrai bahut hai rishte me, bas koi naam nahi.
Mera sabse pyaara ehsaas ho tum,
Door ho lekin mere dil ke paas ho tum.
Ek tarasi hui nigaahen ishaare me kah gai..
Dil le gaye ho tum bas jaan rah gai..!
Mujhko padhna ho to, meri shayari padh lena,
Beshaq lafz bemisaal na sahi, par zazbat lajwab honge !!
Kaise karun mai sabit tum yaad bahut aate ho,
Ehsaas tum samjhte nahi adayen hamen aati nahi.
Jab ham najar na aayen to mat ghabrana tum,
Kuch din aansun bahakar kisi aur ke ho jana tum.
Teri ek jhalak ke liye taras jata hoon,
Khush kismat hain wo log jo tujhe roz dekhte hain.
Har kadam saath chalne wale ham kahin khoo gaye
Itne kareeb the ham aur ab ajnabi ho gaye.
Main logon se mulakaaton ke lamhen yaad rakhata hoon
Baaten bhool bhi jaun par lahaze yaad rakhata hoon.
Titalee se dosti na gulaabon ka shauq hai
meri tarah use bhi kitaabon ka shauq hai.
Wo ek baat jise bolane ko marte the
Wo ek baat hamen bolani nahi aai.
Sab kar lena lamhen zaaya mat karna
Galat jagah par jazbe zaaya mat karna.
Kaisa azeeb riwaaz duniya ka ho chala
Khush dikhana khush hone se zaroori ho gaya.
Gamon ki mujh par kuch esi najar ho gai,
Jab bhi ham hanse ye aankhen nam ho gai..
Kuch toote hain khwab mere kuch ko ab bhi bun raha
Jo uth rahi aawajen mujh par unko bhi sun raha.
Gahrai jakhm kee kisi ko dikhaata nahi hoon,
Maaf to kar deta hoon magar mai bhulata nahi hoon..
Tum se bichhad ke kuch yun waqt guzaara,
Kabhi zindagi ko tarse kabhi maut ko pukaara…
Shaam tak subah kee nazaron se utar jaate hain,
Itne samjhauton par jeete hain ki mar jaate hain..
Kaat kar gairon ki taange, khud laga lete hain log,
Is shahar me is tarah bhi kad badha lete hain log…
Post a Comment